muntazir rahna bhi kya chahat ka ḳhamyaza nahin
kaan dastak par lage hain ghar ka darvaza nahin
haath par tu ne muqaddar ki lakiren khinch diin
kya tujhe bhi mere mustaqbil ka andaza nahin
dekhna chahun to ḳhushbu, chhuna chahun to hava
mere daman tak jo aa.e tu vo shiraza nahin
dafan huun ehsas ki sadiyon purani qabr men
zindagi ik zaḳhm hai aur zaḳhm bhi taaza nahin
tum hi ai ḳhamoshiyo patthar uTha lo haath men
koi naghma koi naala koi avaza nahin
husn pahchanegi mera dekhne vaali nazar
ḳhuun to hai ankhon men chehre par agar ghaza nahin
mangte hain kyuun ‘muzaffar’ log barish ki dua
tishnagi-e-ruh ka jismon ko andaza nahin
Leave a Reply