us ek shaḳhs ka koi pata nahin milta
ki us ke ba.ad to kuchh bhi naya nahin milta
vo aa.ine se bhi nazren chura raha hoga
ki us ka ruup hi us se zara nahin milta
vo dhuup chhanv kare kahkashan bahar kare
vo arz-o-tul ke andar bandha nahin milta
vo jism ruuh ḳhala asman hai kya hai
ki rang koi ho us se juda nahin milta
kabhi kabhi hi ḳhazane nasib hote hain
bana banaya hua sab sada nahin milta
bana to rakkha hai munsif ko apna pahre-dar
vo apne jurm se lekin riha nahin milta
ai ka.enat zara muTThiyan to khol kabhi
pata jo rakhta ho malik tira nahin milta
Leave a Reply