jo kaif-e-ishq se ḳhali ho zindagi kiya hai
shaguftagi na mile jis men vo kali kya hai
miri nigah men hai un ka ariz-e-raushan
ye kahkashan ye sitare ye chandni kya hai
jamal-e-yar ki ra.ana.iyon men gum hai nazar
mujhe ye hosh kahan hai ki zindagi kya hai
uTha bhi jaam ki duniya tire qadam chume
ye mai-kada hai yahan aish ki kami kya hai
tumhari yaad men baiThe hain dil ko bahlane
sanam-tarashi-o-zauq-e-musavviri kya hai
nafas nafas pe ye ehsas-e-gham ye majburi
ḳhuda-gavah qayamat hai zindagi kya hai
nigah-e-shauq ke uThne ki der hai ‘sha.ir’
vo be-qarar na aa.e to baat hi kya hai
Leave a Reply