• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Suragh-E-Jada-O-Manzil Agar Nahin Milta

Suragh-E-Jada-O-Manzil Agar Nahin Milta

suragh-e-jada-o-manzil agar nahin milta

hamen kahin se javaz-e-safar nahin milta

likhen bhi dasht-navardi ka kuchh sabab to kya

ba-juz ki qais ko laila ka ghar nahin milta

yahan fasil-e-ana ha.il-e-masiha.i

vahan vo log jinhen charagar nahin milta

hazar kucha-e-nik.hat men Daliye Dere

magar vo phuul sar-e-rahguzar nahin milta

phir abiyari-e-naḳhl-e-suḳhan nahin hoti

dil-e-hazin jo pas-e-chashm-e-tar nahin milta

payam-e-shauq ko giton men Dhaliye kyun-kar

mizaj-e-bad-e-subuk bhi agar nahin milta

chalo ki phir se rafiqon ki bazm suuni hai

chalo ki sang-e-malamat ko sar nahin milta

bashar-ba-nam-e-bashar to bahut hain duniya men

bashar ki ḳhubiyon vaala magar nahin milta

chalo phir us ke jharoke men phuul rakh aa.en

suḳhan koi jo agar mo’atabar nahin milta

jahan men ek tumhi munfarid nahin ‘ahmad’

yahan to koi bhi misl-e-digar nahin milta

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Aish Sab Khush Aate Hain Jab Talak Jawani Hai

dagh-dehlvi

Jo Ho Sakta Hai Us Se Wo Kisi Se Ho Nahin Sakta

Shabih-E-Ruh Kuchh Aise Nikhaar Di Gai Hai

KHasta Shikasta Jism Mein dhaDkan Liye Hue

poet

Manzar Ye Apni Aankh Mein Kaisa Utar Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet