• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mail-E-Lutf Hai Aamada-E-Be-Dad Bhi Hai

Mail-E-Lutf Hai Aamada-E-Be-Dad Bhi Hai

akhtar-muslimi

ma.il-e-lutf hai amada-e-be-dad bhi hai

vo sarapa-e-mohabbat sitam-ijad bhi hai

shab-e-tanha.i bhi hai saath tiri yaad bhi hai

dil ka kya haal kahun shaad bhi nashad bhi hai

daulat-e-gham se har ik gosha hai is ka ma.amur

dil ki duniya miri abad bhi barbad bhi hai

be-sabab to nahin ehsas ḳhalish ka mujh ko

bhulne vaale tire dil men miri yaad bhi hai

kyuun na asan ho rah-e-ishq ki mere ham-rah

jazba-e-‘qais’ bhi hai himmat-e-‘farhad’ bhi hai

jal gaya apna nasheman magar afsos ye hai

phunkne valon men ik barq-e-chaman-zad bhi hai

mera vijdan muharrik hai mire naghmon ka

tab-e-mauzun miri paband bhi azad bhi hai

kya bata.un main tumhen kya hai nava-e-‘aḳhtar’

naghme ka naghma hai fariyad ki fariyad bhi hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ab to Aasan Dikhai Nahin Deta Kuchh Bhi

poet

Har Badalte Hue Manzar Mein Raho

Sab KHalaon Ko KHalaon Se Bhigo Sakta Hai

abdul-ahad-saaz

Bachat

Waqt Ki Tarah Tere Hath Se Nikle Hue Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet