gal ko sharminda kar ai shokh gulistan men aa
lab siin ghunche ka jigar khuun karo muskyan men aa
vahi ik jalva-numa jag men hai duuja koi nahin
dekh vajib kuun sada majmaa-e-imkan men aa
zindagi mujh dil-e-murda ki tauhin hai mat ja
dil se gar khush nahin ai shokh miri jaan men aa
gul dil-e-ghuncha naman tang ho rang-o-bu siin
jab kare yaad tire lab ke taiin dhyan men aa
gar tu mushtaq hai dilbar safar-e-dariya ka
aa ke kar mauj mire dida-e-giryan men aa
mat mila kar tu raqiban siin sabhi paaji hain
dekh kar qadr aapas ka ai sanam shaan men aa
yuun mira dil tire kuche ka bala-gardan hai
jyuun kabutar ude hai chhatri ke gardan men aa
gar karo qatl mire dil kuun taghaful siin jaan
phir ke daava na karun hashr ke maidan men aa
dil-e-‘yakru’ hai tira paae bandhiya kakul ka
yaad rakh us kuun sada mat kabhu nisyan men aa
Leave a Reply