ik lahr mili apne bahao se nikal kar
chuma hai use main ne bhi naav se nikal kar
main sochta huun zaḳhm agar bhar gaya dil ka
ye dard kahan ja.ega ghaav se nikal kar
barani ilaqon ki tarah ankhon ki aadat
ham jaa.en kahan apne kaTao se nikal kar
main dekhta huun is liye aflak ki janib
kitna safar hai arzi paḌav se nikal kar
raushan hain tire shola-e-sad-rang men varna
ham kab ke bujhe hote alaav se nikal kar
Leave a Reply