tegh-e-pur-khun vo agar dhoe kanar-e-dariya
khanda-zan rang-e-chaman par ho bahar-e-dariya
atash-e-ishq ki lazzat ye mili hai ham ko
ja giren aag men aur hon na dochar-e-dariya
durra-e-mauj lagata hai use be-taqsir
kyuun na ho lasha mira shikva-guzar-e-dariya
surkhi-e-aks-e-shafaq par jo pada lab ka guman
laal-o-yaqut kiye ham ne nisar-e-dariya
nakhl-e-khvahish jo nahin hota hai is se sarsabz
girya karta hai mira khanda ba-kar-e-dariya
machhliyan lakht-e-jigar banti hain dariya aansu
kis gul-e-tar ko hua shauq-e-shikar-e-dariya
kya gul-andam koi is men nahaya tha jo aaj
rag-e-gul se hain moattar khas-o-khar-e-dariya
kis ki zulf-e-araq-afshan ka tasavvur hai unhen
lipte hi jaate hain bahron se jo mar-e-dariya
sail-e-afat men tan dete hain jo ai ‘ghafil’
misl-e-khashak vo rahte hain savar-e-dariya
Leave a Reply