kaho tum kis sabab ruthe ho pyare be-gunah ham siin
churane kyuun lagi hain yuun tiri ankhiyan nigah ham siin
iti na-mehrbani kyuun kari nahaq gharibon par
kiya kya ham niin zalim apne ji ki baat kah ham siin
kya tha naqd-e-jan apna nisar is vaste tum par
ki be-taqsir yuun dil men rakhoge tum girah ham siin
taghaful chhudna zalim be-takalluf ho sitam mat kar
kapat ki ashnai ye nahin sakti nibah ham siin
tumhari tarah milna chhod kar bedard ho rahna
kaho kyun-kar ye sakta hai jite jiyo ye gunah ham siin
lage hain ghair-farzin ki tarah mil kaj-ravi karne
hamesha jo ki kha jaate hain sab baton men shah ham siin
main apni jaan siin hazir huun lekin ‘abru’ to rakh
khuda ke vaste iita bhi rukha tu na rah ham siin
Leave a Reply