sahrāoñ kī pyaas bujhāne
kab aa.e barsāt na jaane
mujh ko merī yaad dilāne
aa.e haiñ kuchh dost purāne
jaane ghar kis kis ke jaleñge
nikle haiñ vo jashn manāne
ḳhvāboñ kī vaadī meñ mile haiñ
biite lamhe guzre zamāne
vaqt ke TuuTe ā.īne meñ
chehre haiñ sab jaane pahchāne
tum se mile to yaad aayā hai
dekhe the kuchh ḳhvāb suhāne
raat kī bāñhoñ meñ khulte haiñ
terī yādoñ ke maiḳhāne
ummīdeñ ghar chhoḌ chukī thiiñ
kab aa.e haiñ hosh Thikāne
dasht kī jaltī ret pe ‘ḳhusrav’
vaqt likhegā apne fasāne