main ye soch kar us ke dar se utha tha
ki vo rok legi mana legi mujh ko
havaon men lahrata aata tha daman
ki daman pakad kar bitha legi mujh ko
qadam aise andaz se uth rahe the
ki avaz de kar bula legi mujh ko
magar us ne roka na mujh ko manaya
na daman hi pakda na mujh ko bithaya
na avaz hi di na mujh ko bulaya
main ahista ahista badhta hi aaya
yahan tak ki us se juda ho gaya main
Leave a Reply