kabhī to pyaar se legā vo naam apnā bhī
qubūl hogā kisī din salām apnā bhī
kabhī to ham bhī rag-e-gul se kaaT deñ patthar
jahāñ meñ kuchh to ho mash.hūr naam apnā bhī
koī to jhāñkegā merī taraf darīche se
kisī nigāh meñ hogā maqām apnā bhī
is aarzū meñ sar-e-rāh baiTh jaatā huuñ
vahāñ se lā.egā qāsid payām apnā bhī
vo jis ke dil meñ jagah hai musāfiroñ ke liye
ye kyā zarūr kare intizām apnā bhī
machī haiñ shahr meñ jis ke ḳhulūs kī dhūmeñ
vo shaḳhs kuchh to kare intizām apnā bhī
mujhe yaqīn hai saaqī ke lutf par ‘anvar’
sharāb-e-husn se bhar degā jaam apnā bhī