yahan se Duub kar jaana hai mujh ko
samundar men utar jaana hai mujh ko
abhi to ku-ba-ku hai ḳhaak meri
abhi to dar-ba-dar jaana hai mujh ko
kabhi jaate hue lambe safar par
achanak hi Thahar jaana hai mujh ko
ye hasrat hai kahun main doston se
hui ab shaam ghar jaana hai mujh ko
tujhe apna sabhi kuchh saunpna hai
tire daman men bhar jaana hai mujh ko
Leave a Reply