• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wo Log Bhi Hain Jo Maujon Se Dar Gae Honge

Wo Log Bhi Hain Jo Maujon Se Dar Gae Honge

vo log bhi hain jo maujon se Dar ga.e honge

magar jo Duub ga.e paar utar ga.e honge

lagi ye fikr na.i dil ko aa ke manzil par

kahan bhaTak ke mire ham-safar ga.e honge

palaT ke aankh men vo mauj-e-ḳhun nahin aa.i

chaḌhe hue the jo dariya utar ga.e honge

chale to ek hi raste pe ham magar na mile

mile bhi honge to bach kar guzar ga.e honge

jo maut se na Dare vo bhi tere saath nahin

ki zindagi ke savalon se Dar ga.e honge

jahan ye baagh hai pahle yahan bayaban tha

zarur idhar se tire ḳhush-nazar ga.e honge

jo shah-rahon pe dekhe hain log patthar ke

talab men jiine ki ye su-e-zar ga.e honge

hamari kisht-e-dil-o-jan se us ki mizhgan tak

ye silsile tire ai chashm-e-tar ga.e honge

jo mil gaya hai to ab mujhe se hal-e-hijr na puchh

kisi tarah se vo din bhi guzar ga.e honge

‘salim’ ziist to mushkil thi be-dayaron ki

vatan se duur kahin ja ke mar ga.e honge

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

najma-shaheen-khosa

Kaise Ajib dukh The dil Mein Chhupa Ke Lae

ainuddin-azim

Mere Hamrah Sitare Kabhi Jugnu Nikle

Wo Tirgi-E-Shab Hai Ki Ghar lauT Gae Hain

ain-tabish

Wahi Junun Ki Sokhta-Jaani Wahi Fusun Afsanon Ka

ahmad-rizwan

Baat Karne Ka Nahin Samne Aane Ka Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet