shikayat kar ke ghussa aur un ka tez karna hai
abhi to guftugu-e-maslahat-amez karna hai
ye duniya ja-e-asaish nahin hai azmaish hai
yahan jo sakhtiyan tujh par padin angez karna hai
ghazal-khvani ko tu is bazm men aaya nahin ‘nadir’
tujhe yaan vaaz kahna pand-e-sud-amez karna hai
Leave a Reply