ye dastan-e-dil hai kya ho ada zaban se
aansu Tapak rahe hain lafzen milen kahan se
hai rabt do dilon ko be-rabti-e-bayan se
kuchh vo kahen nazar se kuchh ham kahen zaban se
ye rote rote hansna tartib-e-zikr-e-gham hai
aaya huun ibtida par chheḌa tha darmiyan se
hasil to zindagi ka thi zindagi yahin ki
ab main huun ik janaza uThva do astan se
is tul-e-ḳhamushi ka zor-e-bayan bhi dekha
thi baat mere dil ki nikli tiri zaban se
jab husn ḳhud-numa hai aur ishq raḳhna-afgan
is kashmakash men parda niklega darmiyan se
maidan-e-imtihan men ai be-gharaz mohabbat
dil ki zamin tu ne Takra di asman se
us razdar-e-gham ki halat na puchh jis ko
kahna to hai bahut kuchh mahrum hai zaban se
ai jazb-e-shauq-e-manzil mamnun-e-ghair kyuun hon
ḳhud rasta badal kar bichhḌa huun karvan se
har gaam par ThiThakna har baar muḌ ke takna
o muskurane vaale kya le chala yahan se
zahir fareb-e-va.ada phir e’tibar itna
vo likh gaya dilon par jo kah diya zaban se
a.ankhon se baghban ki sho.ale nikle rahe hain
tinke daba.e munh men nikla huun ashiyan se
dil ka sakun ganva kar hon aarzu pasheman
kuchh le ke rakh na chhoḌa kyuun jins-e-ra.egan se
Leave a Reply