safar-ba-ḳhair pa raḳht-e-safar na le jaana
zamin ki hasraten ab chand par na le jaana
vida.a ki shaam inhi sahilon pe rahne do
uTha ke dasht kahin apne ghar na le jaana
miri thaki hui zulmat-gurez palkon se
kahin umid-e-numud-e-sahar na le jaana
mata-e-arz tha dharti pe lauT aaya hai
kisi ko arsh pe bar-e-digar na le jaana
ye paas hoga to tum sa talash kar lunga
chale to ho mira husn-e-nazar na le jaana
Leave a Reply