saliqa ishq men mera bade kamal ka tha
ki ikhtiyar bhi dil par ajab misal ka tha
main apne naqsh banati thi jis men bachpan se
vo aina to kisi aur khat-o-khal ka tha
rafu main karti rahi pairahan ko aur idhar
guman use mire zakhmon ke indimal ka tha
ye aur baat ki ab chashm-posh ho jaae
kabhi to ilm use bhi hamare haal ka tha
mohabbaton men main qaail thi lab na khulne ki
javab varna mire paas har saval ka tha
darakht jad se ukhadne ke mausamon men bhi
hava ka pyaar shajar se ajab kamal ka tha
kitab kis ki masafat ki likh rahi hai hava
ye qarz us ki taraf kis ke maah o saal ka tha
Leave a Reply