ek aisa bhi marhala hoga
us ne sab kuchh miTa diya hoga
ye jo laḌta hai rat-din mujh se
koi mujh men bhi dusra hoga
vo jo sachchi thi vo kahani thi
ye jo qissa hai hadisa hoga
us ne sadiyon ko bandh rakkha hai
vo jo kahta tha kal raha hoga
vo jo TuuTa tha niind jaisa kuchh
us ka naqsha bhi ḳhvab sa hoga
vo jo kahta tha kuchh nahin baaqi
ain mumkin hai kuchh hua hoga
Leave a Reply