daagh dil chamka to gham paida hua
ye andhera sub.h-dam paida hua
main huun vo gum-gashta-e-rah-e-talab
meri hasti se adam paida hua
ho ga.i har ek beshi men kami
jab ḳhayal-e-besh-o-kam paida hua
un ke aane ki ḳhushi kya chiiz thi
is ḳhushi se aur gham paida hua
mai-kade men shaiḳh bhi aaya agar
gardan-e-mina men ḳham paida hua
husn men taḳhliq ka jauhar bhi hai
us ke ”main” kahne se ”ham” paida hua
yaad un ki yuun rafiq-e-rah thi
har qadam par ham-qadam paida hua
kya kahen ham is ada-e-ḳhas ko
har karam se ik sitam paida hua
marg ka kuchh bhi na tha ai ‘josh’ gham
un ke va.ade se ye gham paida hua
Leave a Reply