shauq ki had ko abhi paar kiya jaana hai
a.ine men tira didar kiya jaana hai
ham tasavvur men bana baiThe hain ik chara-gar
ḳhud ko jis ke liye bimar kiya jaana hai
dil to duniya se nikalne pe hai amada magar
ik zara zehn ko tayyar kiya jaana hai
toḌ ke rakh diye baaqi to ana ne saare
but bas ik apna hi mismar kiya jaana hai
dekhni hai kabhi a.ine men apni surat
ik muḳhalif ko taraf-dar kiya jaana hai
mas.ala ye nahin ki ishq hua hai ham ko
mas.ala ye hai ki iz.har kiya jaana hai
ḳhvabon aur ḳhvahishon ki baton men aa kar kab tak
ḳhud ko rusva sar-e-bazar kiya jaana hai
ek hi baar men ukta se ga.e ho jis se
ye tamasha to ka.i baar kiya jaana hai
kaun paḌhta hai yahan khol ke ab dil ki kitab
ab to chehre ko hi aḳhbar kiya jaana hai
Leave a Reply