aane men jhijhak milne men haya tum aur kahin ham aur kahin
ab ahd-e-vafa TuuTa ki raha tum aur kahin ham aur kahin
be-ap ḳhushi se ek idhar kuchh khoya hua sa ek udhar
zahir men baham batin men juda tum aur kahin ham aur kahin
aa.e to ḳhushamad se aa.e baiThe to muravvat se baiThe
milna hi ye kya jab dil na mila tum aur kahin ham aur kahin
va.ada bhi kiya to ki na vafa aata hai tumhen charkon men maza
chhoḌo bhi ye zid lutf is men hai kya tum aur kahin ham aur kahin
bargashta-nasib ka yuun hona sona bhi to ik karvaT sona
kab tak ye juda.i ka rona tum aur kahin ham aur kahin
dil milne pe bhi pahlu na mila dushman to baghal hi men hai chhupa
qatil hai mohabbat ki ye haya tum aur kahin ham aur kahin
yaksui-e-dil marghub hamen barbadi-e-dil matlub tumhen
is zid ka hai aur anjam hi kya tum aur kahin ham aur kahin
dil se hai agar qaa.em rishta to dur-o-qarib ki bahs hi kya
hai ye bhi nigahon ka dhoka tum aur kahin ham aur kahin
sun rakkho qabl-e-ahd-e-vafa qaul arzu-e-shaida.i ka
jannat bhi hai dozaḳh gar ye hua tum aur kahin ham aur kahin
Leave a Reply