main insan-e-naua huun main isa-nafas huun
zamin se tumhari main phir kal uThunga
main aadam huun be-jan sa patthar nahin huun
bhanvar sa huun sahra men pal pal uThunga
huun dariya ka paani ki jab bhi marunga
samundar ki ban ke main halchal uThunga
kabhi ki jo suraj ne va.ada-ḳhilafi
ye hai mera va.ada ke main jal uThunga
koi ishq jaise purana ho ‘atif’
main mar ke bhi dil men musalsal uThunga
Leave a Reply