is qadar bhi dil nahin TuuTa hua
kuchh simaT sakta na ho bikhra hua
kab talak ḳhud ko yahi kahta rahun
dil pe mat le jo hua achchha hua
kaun se manzar pe Thahre aankh bhi
sab nazar aata hai bas dekha hua
ham yaqin kar ke use paḌhte rahe
jo bhi tha harf-e-guman likkha hua
sab marasim rakh gaya dahliz par
dil giraftar-e-ana hota hua
jaane kis gham ko riha.i de rahe
aankh men jo ashk hai aaya hua
vaqt kitne zor se hansne laga
ishq jab sharton pe amada hua
haa.e tark-e-ishq par us ka ye tanz
der hi se haan magar achchha hua
ab use ye bhi nahin hai yaad tak
hai vo kis kis ko kahan bhula hua
vo jise kuchh bhi na hota tha use
baad tere puchh mat kya kya hua
chal ‘amar’ us shaḳhs ko ja kar milen
vo nahin milta agar to kya hua
Leave a Reply