khuli jab aankh to dekha ki tha bazar ka halqa
khuda maalum kab tuuta mire pindar ka halqa
tulu-e-sham bhi mujh ko naved-e-sub.h-e-farda hai
kahin chamke hilal-e-abru-e-kham-dar ka halqa
mira khun-e-tamanna hai hina-band-e-kaf-e-qatil
junun-e-shauq kaam aaya faraz-e-dar ka halqa
dil but ashna kuchh is tarah su-e-haram aaya
barahman jaise nikle tod kar zunnar ka halqa
talab ki raah men pa-e-ana se barha uljha
kabhi inkar ka halqa kabhi iqrar ka halqa
ye ku-e-gham badal jaae na ab dasht-e-tamanna se
junun-angez hai zindan ki har divar ka halqa
har ik mahfil men jaana har kisi se baat kar lena
gavara kar nahin sakta mire meaar ka halqa
lahu qadmon se yuun phuta ki zanjiren lahak utthin
munavvar ho gaya zindan-e-tang-o-tar ka halqa
gham-e-imroz ne paiman kiya hai ishq-e-farda se
kabhi to hoga shana-gir zulf-e-yar ka halqa
koi asan na tha lekin bahut mushkil na tha ‘tarzi’
miri zarb-e-nafas se khul gaya asrar ka halqa
Leave a Reply