ai tajalli kya hua sheva tiri takrar ka
mar gaya akhir ko ye talib tire didar ka
kya bina-e-khana-e-ushshaq be-buniyad hai
dhal gaya sar se mire saaya tiri divar ka
roz beh hota nazar aata nahin ye zakhm-e-dil
dekhiye kya ho khuda hafiz hai is bimar ka
nau-mulazim lal-e-lab ko le gae tankhvah men
be-talab rahta hai ye naukar tiri sarkar ka
dekh naiin sakta ‘fughan’ shadi dil-e-afat-talab
ye kahan se ho gaya malik mire ghar-bar ka
Leave a Reply