• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aankh Meri ulaT Gai Hogi

Aankh Meri ulaT Gai Hogi

aankh meri ulaT ga.i hogi

ḳhvab ki umr ghaT ga.i hogi

maang se ḳhuun bah raha hoga

ḳhaak se zulf aT ga.i hogi

ruuh apne safar pe nikli jab

tan se miTTi chimaT ga.i hogi

aḳhiri baat darmiyan hi thi

aur phir kaal kaT ga.i hogi

ya ziyada qarib tha vo shaḳhs

ya zamin hi simaT ga.i hogi

hijr ki shab ko jab koi na mila

mujh se aa kar lipaT ga.i hogi

chal paḌi sub.h ki taraf jab main

raah se raat haT ga.i hogi

tum mira chehra dekhne aana

raushni jab palaT ga.i hogi

dukh agar the mire tavil bahut

to ḳhushi do minute ga.i hogi

jab koi qahqaha nahin hoga

‘sa.adiya’ dukh men baT ga.i hogi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

nazeer-akbarabadi

dariya O Koh O dasht O Hawa Arz Aur Sama

poet

Panw Phir Howenge Aur dasht-E-Mughilan Hoga

Ishq Mein Jaan Se Guzarne Ko

Wadi-E-Kun Se Gham-E-Marhala-Paima Nikla

poet

Ghair Ki Bad-Gumaniyon Pe Na Ja

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet