main is zamin ki dushvariyan bana.unga
parinde phuul kabhi Tahniyan bana.unga
har ek shaḳhs yahan duriyan banata hai
main kuchh alag huun main nazdikiyan bana.unga
tumhari ruuh ko paikar men Dhaal dunga phir
tumhare jism ki parchha.iyan bana.unga
tumhari aankh ki gahra.iyan banani hain
tumhari chup se main ḳhamoshiyan bana.unga
saba ki nazuki mahsus kar ke ik muddat
main titliyon pe tiri ungliyan bana.unga
tire hi samne ankhen bana.unga teri
tire hi samne hairaniyan bana.unga
bhaTakte rahne se mujh ko agar mili fursat
main apne vaste ḳhud beḌiyan bana.unga
mujhe hai ilm ki duniya ki samt jaane par
main bhiiḌ sochunga tanha.iyan bana.unga
is ek ḳhvab ne ninden ujaaḌ diin meri
qafas bana.unga main qainchiyan bana.unga
Leave a Reply