tamam rishte usi shaḳh-e-be-samar se hain
talash unhi ko hai ghar ki jo nikle ghar se hain
shanaḳht ki ye kahani bas ek nasl ki hai
phir is ke ba.ad fasane idhar udhar se hain
abhi ḳhabar nahin nau-varidan-e-hijrat ko
kahan se uTThe hain badal kahan pe barse hain
qadam uThe nahin ma.alum manzilon ki taraf
magar udaas ham andesha-e-safar se hain
bas aankh khulte hi tabir-e-ḳhvab mil jaa.e
ye kis tarah ke taqaze hamen sahar se hain
nigah rakhte hain sayyargan ki nabz pe ham
aur apne charon taraf kitne be-ḳhabar se hain
Leave a Reply