• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Karte Rahen Wabasta Un Se Chahe Jo Afsane Log

Karte Rahen Wabasta Un Se Chahe Jo Afsane Log

karte rahen vabasta un se chahe jo afsane log

ishq men rusva.i ki parva karte hain kab divane log

kis ko sada.en deta hai tu shahr-e-tamanna men ai dil

kaun yahan hai tera sathi sabhi to hain begane log

kis ko suna.en hal-e-tabahi kis ko dikha.en zaḳhm-e-jigar

daur-e-sitam hai rahm kahan ab zulm ke hain divane log

shaiḳh-o-barahman ki baton men dair-o-haram ke jhagḌe hain

chaal men in ki phir kyuun aa.en ham jaise mastane log

faiz-e-junun se jaag uTha hai aaj muqaddar sahra ka

phuul khilate hain is men bhi dekhiye kuchh divane log

bachte hue sab se aa.e the mahfil-e-zindan ki janib

mil hi ga.e uf ham ko yahan bhi kuchh jaane pahchane log

ahl-e-junun ke faiz se kashfi duniya men bedar hi hai

baat pate ki kah dete hain akasr ye divane log

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aag Kya Sard Hui Barf Ko Pani Kar Ke

sahir-ludhianvi

Jiwan Ke Safar Mein Rahi

adil-mansuri

Sadkon Par Suraj Utra

poet

dilon Se Uthne Lagega dhuan To Kya Hoga

Apne Hone Ke Jo Aasar Banane Hain Mujhe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet