ye dil har ik na.i koshish pe yuun dhaḌakta hai
ki jaise koi natija nikalne vaala hai
hamen ḳhabar hai ki hai kaun kitne paani men
ye shahr sat.h-e-samandar se kitna uncha hai
sarab pyaas bujhata nahin kabhi lekin
ye baat ḳhuub samajhta hai kaun pyasa hai
tumhare haath men taqdir hai ujalon ki
charagh ko ye ḳhabar kya kahan andhera hai
suna.i deti hai ab sirf ansuon ki sada
nigah par bhi ka.i din se saḳht pahra hai
na dosti hi ko parkha na dushmani ko ‘shakil’
magar ye kis ne kaha tajraba adhura hai
Leave a Reply