sharab ḳhun-e-jigar hai ham ko sharab ham le ke kya karenge
gazak ki ja hai dil-e-birishta kabab ham le ke kya karenge
hazar parde men tum chhupao pa husn chhupta nahin miri jaan
tumhare aariz ye kah rahe hain naqab ham le ke kya karenge
hamare naqd-e-dil-o-jigar ko hisab ke ba.ad pher denge
hisab lene ka un se hasil hisab ham le ke kya karenge
hamen jo bheja hai tum ne mus.haf to yaar harf-ashna nahin ham
dikhao apna ruḳh-e-kitabi kitab ham le ke kya karenge
buton ki ulfat se ba.az aa.en magar jo dil maan jaa.e vaa.iz
azaab men jaan paḌ ga.i hai savab ham le ke kya karenge
jo man.a karta hai dil na denge buton ko naseh magar ḳhudara
bata de tu hi ki is tarah ka azaab ham le ke kya karenge
ḳhuda ki baḳhshi hui hai vaq.at ‘asar’ nahin koi aisi ne.amat
mili hai jab izzat-e-siyadat ḳhitab ham le ke kya karenge
Leave a Reply