badan pe zakhm sajae lahu labada kiya
har ek sang se yuun ham ne istifada kiya
hai yuun ki kuchh to baghavat-sirisht ham bhi hain
sitam bhi us ne zarurat se kuchh ziyada kiya
hamen to maut bhi de koi kab gavara tha
ye apna qatl to bil-qasd bil-irada kiya
bas ek jaan bachi thi chhidak di rahon par
dil-e-gharib ne ik ehtimam saada kiya
jo jis jagah ke tha qabil use vahin rakkha
na ziyada kam kiya ham ne na kam ziyada kiya
bacha liya hai jo sar apna sakht nadim hain
magar ye apna tahaffuz to be-irada kiya
na lautne ka hai rasta na thaharne ki hai ja
kidhar ka aaj junun ne mire irada kiya
Leave a Reply