jafa-pasandon ko sunte hain na-pasand hua
ab aur bhi dil-e-mayus dard-mand hua
mah-e-do-hafta banaya hamin ne aariz ko
hamari vajh se husn aap ka do-chand hua
juda juda hai mazaq apna apna duniya men
hamen jo dard to dil dard ko pasand hua
vo pher pher gae tod tod kar aksar
ye dil vo hai jo kai baar dard-mand hua
koi hazar kahe apni hi ye karta hai
hamara dil na hua koi khud-pasand hua
habab ka ye ishara hai ahl-e-ghaflat se
hua vo past jo duniya men sar-buland hua
hua hai ishq men kam husn-e-ittifaq aisa
ki dil ko yaar to dil yaar ko pasand hua
hila diya sar-e-bam aaj ja ke dil un ka
asar ko nala-e-qalb-e-hazin kamand hua
dikhaya dil ko ye din kibr-o-be-niyazi ne
ki naaz utha ke kisi ke niyaz-mand hua
ye kaun dilbar-e-nazuk-mizaj se puchhe
pasand bhi dil-e-zeba-e-dard-mand hua
Leave a Reply