Aankhen Bhi Mand Thin Mera Dil Bhi Figar Tha

āñkheñ bhī maañd thiiñ mirā dil bhī figār thā

haa.e vo shaḳhs jis kā mujhe intizār thā

mansūb umr-e-rafta ye e.azāz kam nahīñ

ik shaḳhs muntahā-e-ġham-e-e’tibār thā

jab ġhair ke liye na rahā terā lams-e-ġhair

phir terā intizār bhī āñkhoñ pe baar thā

tārīkiyāñ nasīb thiiñ isyān-e-zīst ko

raushan jo thā vo merī vafā kā hisār thā

pahle-pahal jo rabt thā jannat sā apne beach

phir ye khulā vo ishq na thā kār-zār thā

phir yuuñ huā ki us ne bhulā hī diyā mujhe

kartā bhī kyā gila maiñ use iḳhtiyār thā

‘āfāq’ vo judā bhī huā thā to zo.am se

phir us ko yaad karnā bhī ik shāhkār thā

Leave a Comment