Ye Hijr Ka Rasta Hai Jis Par Main Tanha Tanha Si Chal Rahi Hun

ye hijr kā rāsta hai jis par maiñ tanhā tanhā sī chal rahī huuñ

bas us kī yādoñ kī dhuup hai aur maiñ qatra qatra pighal rahī huuñ

ye vasl-lamhoñ kī raushnī hai jo dil kī duniyā meñ aa basī hai

mahaktī yādoñ kī chāñdnī hai maiñ jis kī kirnoñ se jal rahī huuñ

rah-e-vafā meñ bhaTaktī rahtī jo tere sapnoñ meñ gum na rahtī

tire ḳhayāloñ meñ jī rahī huuñ tire tasavvur meñ Dhal rahī huuñ

shikasta-ḳhvāboñ kī kirchiyāñ haiñ jo merī āñkhoñ meñ chubh rahī haiñ

maiñ ḳhār-zāroñ meñ chal rahī huuñ maiñ girte girte sambhal rahī huuñ

zamāne bhar kī ye talḳhiyāñ haiñ jo mere lahje meñ aa basī haiñ

maiñ apne sheroñ meñ dhīre dhīre ye zahar-e-māya ugal rahī huuñ

karūñgī kyā bāl-o-par ko apne qafas meñ jiinā jo lāzmī hai

kahāñ hai ‘shāhīn’ shādmānī dukhoñ kī duniyā meñ pal rahī huuñ

Leave a Comment