safar tavil sahi hasil-e-safar kya tha
hamare paas ba-juz daulat-e-nazar kya tha
labon se yuun to baraste the pyaar ke naghme
magar nigahon men yaron ke neshtar kya tha
ye zulmaton ke parastar kya khabar hote
miri nava men ba-juz muzhda-e-sahar kya tha
har ek abr men hai ik lakir chandi ki
vagarna apni duaon men bhi asar kya tha
hazar khvab lute khvab dekhna na gaya
yahi tha apna muqaddar to phir mafar kya tha
ghurur andhere ka toda usi se haar gaya
numud ek sharar ki thi ya bashar kya tha
koi khalish jo muqaddar thi umr bhar na gai
ilaaj aise marizon ka chara-gar kya tha
Leave a Reply