afsana chahte the vo afsana ban gaya
main husn-e-ittifaq se divana ban gaya
vo ik nigah dekh ke khud bhi hain sharmsar
na-agahi men yunhi ik afsana ban gaya
mauj-e-hava se zulf jo lahra gai tiri
mera shuur laghzish-e-mastana ban gaya
husn ek ikhtiyar-e-mukammal hai aap ne
divana kar diya jise divana ban gaya
zikr us ka guftugu men jo shamil hua ‘adam’
jo sher kah diya vo pari-khana ban gaya
Leave a Reply