is se pahle ki hamen ahl-e-jafa rusva karen
apni jaan de kar vafa karne ka ham vaada karen
aao shabnam ki tarah ban jaaen taqdir-e-chaman
kyuun kali ban kar khilen aur khil ke murjhaya karen
gulshan-e-hasti men ham savan ke badal ki tarah
jhuum kar uttha karen aur tuut kar barsa karen
khaka-e-ulfat men khuun bharna tha ham ne bhar diya
log ham ko ba-vafa ya be-vafa samjha karen
apni ankhon ka samundar bah ke to khamosh hai
dil ke andar ki sulagti aag ko ham kya karen
ek hi chullu hai kaafi ahl-e-ghairat ke liye
duub marne ke liye kyuun khvahish-e-dariya karen
kho ke kya paaya hai ham ne pa ke kya kuchh kho diya
aaine men vaqt ke saaqi ye andaza karen
Leave a Reply