• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kabhi Kisi Ko Na Ahd-E-Wafa Ka Pas Hua

Kabhi Kisi Ko Na Ahd-E-Wafa Ka Pas Hua

poet

kabhi kisi ko na ahd-e-vafa ka paas hua

sahar ka ḳhvab andheron se ru-shanas hua

vo ek lafz jo mahdud-e-ḳhalvat-kun tha

vo lafz phaila to mansur-e-ḳhud-shanas hua

hamare ba.ad bhi lakhon the Dubne vaale

ab is ko kya karen dariya hi na-sipas hua

karam kisi ka had-e-e’tidal se baḌh kar

hamare jazba-e-ḳhud-dar ki asaas hua

talab men ham-safari ki lagan kahan phir bhi

pukar lenge agar koi aas paas hua

udhar tha lafz-e-vafa jaise hukm-e-shahana

miri zaban pe aaya to iltimas hua

tavaqquat ke jaadu ka zor to TuuTa

shikast aaj tilism-e-umid-o-yas hua

marahil-e-gham-e-hasti ki uljhanen tauba

kahin vafa ka kahin zindagi ka paas hua

vo ḳhamushi thi jo tahsin-e-na-shanas hui

vo shor tha jo sukut-e-suḳhan-shanas hua

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kahin Bhi Saya Nahin Kis Taraf Chale Koi

Hafiz Shirazi

Yarab Aan Sham-e-Shab-Afroz Ze-Kashana-e-Kist

ahmad-faraz

Hum To Yun Khush The Ki Ek Tar Gareban Mein Hai

kaifi-azmi

Ek dua

siraj-aurangabadi

Ishq Mein Aa Ki Aql Kun Khonan

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet