be-qararon ko kab qarar aaya
maut bhi aai par na yaar aaya
jab hua jism khaak yaar aaya
gard utthi to shahsavar aaya
lut gaya karvan-e-sabr-o-qarar
qasid-e-ashk ashk-bar aaya
khas se jaise charagh jalta hai
daagh ke kaam jism-e-zar aaya
gar koi khaksar khaak hua
khaak udane mira ghubar aaya
kasa-e-charkh vazhgun hi raha
ja ke mujh sa na bada-khvar aaya
zulf se sair ru-e-rangin ki
daam men mausam-e-bahar aaya
lotiye misl-e-mahi-e-be-ab
ki sar-e-tegh-e-abdar aaya
us ne sau baar haal puchha ‘arsh’
shikva lab par na ek baar aaya
Leave a Reply