bahut daave kiye hain agahi ne
nahin samjha mohabbat ko kisi ne
jabin par khaak ke zarre nahin hain
sitare chun diye hain bandagi ne
shikayat hai unhen bhi zindagi se
jinhen sab kuchh diya hai zindagi ne
saba se puchhiye kya gul khilae
chaman men un ki ahista-ravi ne
khuda gharat kare dast-e-sitam ko
abhi to aankh kholi thi kali ne
mah o anjum ko zau bakhshi hai ‘mumtaz’
hamare ansuon ki raushni ne
Leave a Reply