Mauj Aae Koi Halqa-E-Girdab Ki Surat

mauj aa.e koī halqa-e-girdāb kī sūrat

maiñ ret pe huuñ māhī-e-be-āb kī sūrat

sadiyoñ se sarāboñ meñ ghirā soch rahā huuñ

ban jaa.e kahīñ sabza-e-shādāb kī sūrat

āsār nahīñ koī magar dil ko yaqīñ hai

ghar hogā kabhī vādī-e-mahtāb kī sūrat

hai soch kā tesha to nikal aa.egī ik din

patthar ke hisāroñ meñ koī baab kī sūrat

pahchān mujhe bhī ki zamīñ shakl hai merī

maiñ sindh kā chehra huuñ na punjab kī sūrat

Leave a Comment