sahra ko dariya samjha tha
main bhi tujh ko kya samjha tha
haath chhuḌa kar jaane vaale
main tujh ko apna samjha tha
phir ja.unga apni zaban se
kya mujh ko aisa samjha tha
itni aankh to mujh men bhi thi
duniya ko duniya samjha tha
main ne tujh ko manzil jaana
tu mujh ko rasta samjha tha
be-a.ina shahr ne mujh ko
ḳhud sa be-chehra samjha tha
kya se kya nikla hai, tu bhi
main tujh ko kaisa samjha tha
Leave a Reply