Ba-Rang-E-KHwab Main Bikhra Rahunga

ba-rañg-e-ḳhvāb maiñ bikhrā rahūñgā

tire inkār jab chuntā rahūñgā

kabhī sochā nahīñ thā maiñ tire bin

yuuñ zer-e-āsmāñ tanhā rahūñgā

tū koī aks mujh meñ DhūñDnā mat

maiñ shīsha huuñ faqat shīsha rahūñgā

ta.affun-zār hotī mahfiloñ meñ

ḳhayāl-e-yār se mahkā rahūñgā

jiyūñgā maiñ tirī sāñsoñ meñ jab tak

ḳhud apnī saañs meñ zinda rahūñgā

galī bāzār baḌhtī vahshatoñ ko

maiñ tere naam hī likhtā rahūñgā

Leave a Comment