saaqi khulta hai paimana khulta hai
sachche rindon par mai-ḳhana khulta hai
un galiyon men log bhaTakte dekhe hain
jin galiyon men danish-ḳhana khulta hai
mujh ko paḌhne aa jaate hain lakhon log
jab bhi ghazlon ka tah-ḳhana khulta hai
tum par shayad chaar baharen khulti hon
mujh se to har pal virana khulta hai
sab ki ankhon men aansu aa jaate hain
‘azar’ jab koi divana khulta hai
Leave a Reply