tu saath hai magar kahin tera pata nahin
shaḳhon pe duur tak koi patta hara nahin
ḳhamoshiyan bhari hain fazaon men in dinon
ham ne bhi mausamon se idhar kuchh kaha nahin
tu ne zaban na kholi suḳhan main ne chun liye
tu ne vo paḌh liya jise main ne likha nahin
ye kaun si jagah hai ye basti hai kaun si
koi bhi is jahan men tere siva nahin
chaliye bahut qarib se sab dekhna hua
apne guman se haT ke kahin kuchh hua nahin
chhoḌa hai jaane kis ne mujhe bal-o-par ke saath
ye kin bulandiyon pe jahan par hava nahin
rang-e-talab hai kaun si manzil men kya kahen
ankhon men mudda.a nahin lab par sada nahin
pichhe tire ai rahat-e-jan kuchh na puchhiyo
kya kya hua nahin yahan kya kuchh hua nahin
Leave a Reply