baḌe adab se ghurur-e-sitam-garan bola
jab inqalab ke lahje men be-zaban bola
takoge yunhi havaon ka munh bhala kab tak
ye na-ḳhudaon se ik roz badban bola
chaman men sab ki zaban par thi meri mazlumi
mire ḳhilaf jo bola to baghban bola
yahi bahut hai ki zinda to ho miyan-sahab
zamana sun ke mire gham ki dastan bola
hisar-e-jabr men zinda badan jala.e ga.e
kisi ne dam nahin maara magar dhuan bola
asar hua to ye taqrir ka kamal nahin
mira ḳhulus muḳhatab tha main kahan bola
kaha na tha ki navazenge ham ‘hafiz’ tujhe
uḌa ke vo mire daman ki dhajjiyan bola
Leave a Reply