rah gaya duniya men vo ban kar tamasha umr bhar
jis ne apni zindagi ko khel samjha umr bhar
tum amir-e-shahr ke ghar ko jala kar dekhna
ghar men ho ja.ega muflis ke ujala umr bhar
aisa lagta hai ki ab vo qabr tak ja.egi saath
dil ke ḳhanon men nihan thi jo tamanna umr bhar
qarz meri qaum vo kaise chuka.egi bhala
suud ḳhud ko bech kar jis ka utaar umr bhar
janta huun mujh ko Das lega vo mar-e-astin
jis ko apna ḳhuun pila kar main ne paala umr bhar
zindagi ne.amat thi jis ko pa ke tum ḳhush the ‘sabih’
ab kaho kya zindagi se tum ne paaya umr bhar
Leave a Reply