• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Haal-E-Dil Kahne Ko Kahte Ho to Kab Tum Mujhko

Haal-E-Dil Kahne Ko Kahte Ho to Kab Tum Mujhko

hal-e-dil kahne ko kahte ho to kab tum mujh ko

haa.e jis vaqt nahin tab-e-takallum mujh ko

ḳhaak ho kar bhi vahi hasrat-e-pa-bos rahi

ho ga.i mauj-e-saba mauj-e-talatum mujh ko

zo.af se haal ye patla hai rah-e-ulfat men

sail-e-girya pe bhi hasil hai taqaddum mujh ko

kahte hain zikr-e-shab-e-vasl pe kya janiye kyuun

kabhi sharm aur kabhi aata hai tabassum mujh ko

mo.ajiza hazrat-e-isa ka tha be-shubah durust

ki main duniya se gaya uTh jo kaha qum mujh ko

sail-e-girya ki badaulat ye hua ghar ka haal

ḳhaak tak bhi na mili bahar-e-tayammum mujh ko

un ko gin gin ke shab-e-hijr basar hoti hai

taare ankhon ke na kyuun hoven ye anjum mujh ko

hai gazi gaḌha hi ‘kaifi’ ka shi.ar aur visar

nahin darkar hai ye atlas-o-qaqum mujh ko

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Yun Bhi Jab Tak Gham Se Mar Nahin Jata Main

Bedam Shah Warsi

Pahle Sharma Ke Mar dala

Pindar-E-Zohd Ho Ki Ghurur-E-Barhamani

KHun-E-Dil Hota Hai Hone Dijiye

Dil Mein Bikhre Hue Jalon Se Pareshan Na Ho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet